Tuesday, May 10, 2011

Article: ARMAAN


Pehli bar kisi ke khone ka ehsas ho raha tha. Aankhe nam thi meri jaane kyo laga rok loon use dur hone se fir bhi dil ne kaha is tufan ko guzarne de, ise apne aghosh mein baharne de. Dil ro raha hai mera aur aankhe byan kar rahi thi. Dard seene mein tha jaise gehra mera chehre ki tadap bekarar kar rahi.


Unhe parvaaha nahi thi shayad meri, mere dil ki dua sirf unke liye dua mang rahi thi. Dur thi unse aaj jane kyo vo duri kareeb la rahi thi. Yeh baaton ki nami kuch bhi byan na karke baut kuch byan karti ja rahi thi. Labo pe muskurahat thi sirf unke naam ki lekin jane anjane dhadkano ka tarana bhar rahi thi.


Kyo pyaar mein dard milta hai? Kyo yeh dard har bar rota hai? Kyo mujhe sata raha hai yeh pyaar?


Shayad aaj dil khali ho gaya hai un aarmano se jise bhare the chand sapno se. Bikhar gaya hai har ek sapna aaj har ek aarmaano ke sath. Ab dard nahi hai is dil mein kynki ab un mein koi jagaha nahi hai kisi jazbaat ki, koi aasha nahi hai paankh laga kar udhane ki.


Aaj akeli hoon lekin duniya ko apni muthi mein kar loon har ek baar. Aaj kaami hai kisi ke pyaar ki jise mein chod kar baithi hoon us intezar ke sath.

The way to be happy

The way to be happy is to identify yourself, what is unique about you, that is visible to the world, not you, and that is the way the worl...