Tuesday, July 5, 2011

Yeh Kaisi Bechaini Hai

Yeh kaisi bechaini hai jo mujhe raat bhaar jaga rahi hai....

Kya yeh hi hai pyaar ka asar jo mujhe apni aur bhula rahi hai....

Tere dil ki aah jaane kyo mujhe is kadar jo rula rahi hai....

Kuch parchaiya meri zindagi badal kar aage jo badalti jaa rahi hai.... 

Kya khwabo ki yeh duniya toot kar haqiqat jo bana rahi hai....

Har mod par khade har shaks par teri jo tasveer nazar aa rahi hai....

Kyo puchu aapne maan se jaane waqt ki rahe jo na jane chalti jaa rahi hai....

Ab neende udh gai kahi mere dil ki jo bechaini ab baadti jaa rahi hai.... 
 

8 comments:

  1. Waah...dear Shikhaa....aap toh bahut acchi kavitari ban gayi hain....hamari haardik Shubh-kamanayen aapke saath hain...aap aise hi rachnayen kar k shikhar par pahuncho...!!!

    ReplyDelete
  2. bhut khub kshikha isitarh liktey rahiye hamari shubkamnaye aap ke satth hai..............:)

    ReplyDelete
  3. shikhu bhut aacha likha hai kya baat hai aapki kalpana ki bhut aache kkep it up ........!!!!!!!!!!

    ReplyDelete
  4. Aaj maine aapka blog shuru se ant tak padha..bahut hi sundar vichar hain aur bada sunder get up hai...meri taraf se dheron badhayian. aise hi likhti raho...tumhari kalam aur balvati ho aur kabhi na thake...
    daman

    ReplyDelete

The way to be happy

The way to be happy is to identify yourself, what is unique about you, that is visible to the world, not you, and that is the way the worl...