Thursday, December 22, 2011

Is Kadar


Kuch purane zakhmo ne cheda hai is kadar...

Kuch naye khwabo ne boona hai is kadar...

Rooh bhi roti hai kahi meri is kadar...

Aaj aankho mein khoon beh raha hai is kadar...

Yaad aana kisi ki mumkin nahi mere liye is kadar...

khwab bi seele hai muh se uff ban kar is kadar...



Bikh Gayi Meri Hasti


Bikh gayi meri hasti mera hi khwab banke...



Jara meri nazare jo uthi selabh banke...


bikh gaya rom rom bas ek baat banke...


Nazaro ka dhokha tha bas mera intezar banke...


Kyo chaha thi paaro par ek pehra banke...


Mera dil reh gaya akela ek ghumaar banke...


Bikh gayi hasti meri mere us mod ka inaam banke...

Sunday, October 2, 2011

LEHAR CHALI


Lehar chali kai khwaishiye leke....


Maan ko chum loon barish ke jaise....


Badalta mausam sharma raha hai....


Mere paon mein ek sapna gaa raha hai....


Chah nahi hai tere pass anne ki jaise....


Fir bhi yeh dil bas tere liye gunguna raha hai....


Lehar chali sangam ki aur....


Mera rasta kyo nahi tere ghar ko ja raha hai....


Hawao se khoyi hai hassi kahi jaise....


Kya yeh pal bas teri hi yaad dila raha hai....



NAAM NAHI




Gautam naam nahi ek roop hai jiski hai pehchaan....

Dilse apna aur dimaag se lagta hai anjaan....

Kuch khwaish hai pane ki kahi....

Kho gayi hai kahi ek pehchaan....

Har muskaan main dard bhara hai uske....

Fir khushiyon se hai bharta apni shaan....


Har shuk mein sathi har dukh mein sathi....

Fir kyo nahi mili use uski khushiyon ki dukan....

Lamha chura jata hai pal mein deta sabko hai ek pyaari jaan....

Kehna hai use baut kuch par chupa jata hai har shabd ka samaan....

Tamnnaye bula rahi hai use kehta hai pehle hai farz fir hai mera kaam....

Khane Jaisi


Kaash zindagi bi khane jaisi kuch namkeen, 

kuch meethi, kuch tikki, kuch khatti hoti.....

Fir saanse bi khane jaisi garam hoti....

Aankhe band karke rakhti agar,

hatho jaisi mulayam roti bhi sath hoti....

Pal mein muh mein ghul jaye,

khane jaisi agar kisi ki hassi khas hoti....

Fir bhi meetha khati agar,

mirch si tikki zuban hoti....

Pal mein khane ki khushboo phel gayi,

jaise baaton ki muskaan hoti....

Dil bhi kaccha hai magar,

khane sa pakka swaad nahi....

Monday, August 29, 2011

Bachpan


Bheegta bachpan yaad dilata hai bheegte palo ki, jaane kaunse ghumo ko chupta hai us laadi ki....


Tufan mein to sahil bi sath chod ke chale jata hai, tera kya yakeen hai mujhko ki tu bi kahi dur chali jayegi...


Humne kya khoya tha jo paa lenge tere aanchal ke tale, roshani se mehkati ek gazal to nahi....


Tere ashqo ka chupa dard hi mila, kyo koi khushi ka pegaam nahi....


Tamanao se bhari hasti meri tere in aankho se jhulas si gayi, umaar baadti gayi meri tu abhi tak bachpan mein batakti rahi...


Khilta phool pa kar tere aanchal mehak sa gaya, meri khushiya bi sath le si gayi....


chal ab jaa mujhse dur chali jaa laut kar apni yaad ka pehra hi sahi.......


Teri tasveer saza li hai ab teri ruh sa hai mera chehra, fir bi ek aah baki hai kahi...

Friday, August 19, 2011

Kyo Khushi


                                 Kyo khushi ko hamesha dard se guzarna padta hai....


                                 Kyo phoolon ki chadar seemat kar rakhni padti hai....


                                 Kyo barsaat ki boonde khud ko bheegati nahi....


                                 Kyo lafzo mein khamoshi ban jati hai kabhi kabhi.... 


                                 Kyo roshani andhere se bhaag kar roshan hoti nahi....


                                 Kyo sapno ki sidi humeh raah dikhati nahi....


                                 Kyo samunder ki lehre meri rooh ko bheegoti nahi....


                                 Kyo pagalpan mein zindagi khul kar hasti nahi....


                                 Kyo sapno ko kuchal kar manzil sahi dikhti nahi....


                                 Kyo yeh zameen mere aashao ke liye rukti nahi....


                                 Kyo khwaishe dil ke kisi kone mein theharti nahi....


                                 Kyo drd ka daman thame meri hasti badalti nahi....

Meri Kalpana

                             Meri kalpana is zameen se nahi mere dard ki gehrai se nikalti hai, jo rukti kisi ke liye nahi par dard ki parchai si hai....


                            Waqt guzarta hai in aankho ko dekh kar, kyo yeh aankhe rukti hai waqt ko dekhkar....


                             Chal padhi ek roshani mein bhool ke zamane ki khushi, khushi sirf kehlna khushi nahi....


                              Chubte aashq se gehra to nahi, tamnao ki udhan bhar kar kahi rooh ujhale se nikal padhi....


                              Aaj zamane ne dekha hai mera dard na sahi mera pyaar hi sahi, isliye dil roya bi nahi to koya bhi nahi....



Tuesday, July 5, 2011

Yeh Kaisi Bechaini Hai

Yeh kaisi bechaini hai jo mujhe raat bhaar jaga rahi hai....

Kya yeh hi hai pyaar ka asar jo mujhe apni aur bhula rahi hai....

Tere dil ki aah jaane kyo mujhe is kadar jo rula rahi hai....

Kuch parchaiya meri zindagi badal kar aage jo badalti jaa rahi hai.... 

Kya khwabo ki yeh duniya toot kar haqiqat jo bana rahi hai....

Har mod par khade har shaks par teri jo tasveer nazar aa rahi hai....

Kyo puchu aapne maan se jaane waqt ki rahe jo na jane chalti jaa rahi hai....

Ab neende udh gai kahi mere dil ki jo bechaini ab baadti jaa rahi hai.... 
 

Tere Liye

kyo mehsoos kar loon is shaam ko tere liye....

kyo paa loon yeh jahan tere liye....

kyo dhadkan gaa rahi hai tere liye....

kyo pagal sa maan mera tere liye....

kyo bhul gai sab kuch tere liye....

kyo band hai yeh aankhe tere liye....

kyo chu loon tujhe tere liye....

kyo so gaya jahan tere liye....

kyo behti yeh hawa tere liye....

kyo pyaar hua tere liye....

kyo yaadon mein basa tere liye....

kyo tere liyeeeeee.... 

Saturday, June 11, 2011

KYO YEH ANGDAI

Dard leta hai kyo yeh angdai....

               Jism ko rooh tak bharta hai kyo yeh angdai....

               Tufan mein bhi lafz keh na sake kyo yeh angdai....

               Teri raho mein pigalne na de kyo yeh angdai.... 

               Aaj kal meri saanso mein rehne bhi de kyo yeh angdai....


               Khusbooye in hawao mein pigalne bi na de kyo yeh angdai....

                Fir bhi har saans mein khiche kyo yeh angdai.... 

                Aaj mohabbat nahi hui fir bhi kehta mujhe kyo yeh angdai....

                Raaho mein chal kar raste badal liye kyo na jane anjane kyo yeh angdai....

DARSH


Radha raas mein dhoob chuki hoon....

Shyam ka pyala pee rahi hoon....

Fir bhi mujhe aas prabhu ki....

Do naino se dekh loon kabhi bhi....

Aaj nahi to kal mil jana....

Meri aankhiya tum bhi padh jana....

Is mein naam bahara hai tumhara....

Fir bhi tutti ahhaa nahi hai....

Jeena marna sath nahi hai....

Ab kahe ka hai khabrana....

Darsh ki pyaasi  darsh dikla jana....

Friday, June 10, 2011

Tu Jitna Muskura Rahi Hai,


Tu jitna muskura rahi hai,
utna ghum kyo tujh mein hai,
aae zindagi kuch to keh bhi....

                  Yeh kaisi raah hai aayi,
chod ke chali mein aayi,
kya kaahi rutha hai khuda bhi....

                  Na ghum hai labo pe aaye,
yeh saanse kyo chalti jaye,
kya yakeen hai inhe bhi....

                  Ab na ruk jaye kadam,
fir mile na mile manzil ke vo akhari hai pal,
kyo khud kya chahe in aankho mein bhi.... 
 

Wednesday, June 1, 2011

Aaj Mere Baal Kuch Kehne Lage

Aaj mere baal seemat kar mere chehre par padhne lage....

Kyo na jane kuch isharo mein behane lage....

Khwab bhi jhoothe magar sache se lagne lage....

Kuch dur chal kar mujhse kehne lage....

Roshan hui raat is baat mein gungunne lage....

Chandni raat mein is kadar pigal kar toot jane lage....

Khoya hai khwab us khwab mein so jane lage.... 

Gujri hai ek raat us yaad mein har aansu chupane lage....

Fir nayi subha ka nazara hai kyo na ho har  raat ko jatane lage.... 

Aaj mere baal kuch kehne lage....

kyo na jane seemat kar mere chehre par padhne lage....

Tuesday, May 10, 2011

Article: ARMAAN


Pehli bar kisi ke khone ka ehsas ho raha tha. Aankhe nam thi meri jaane kyo laga rok loon use dur hone se fir bhi dil ne kaha is tufan ko guzarne de, ise apne aghosh mein baharne de. Dil ro raha hai mera aur aankhe byan kar rahi thi. Dard seene mein tha jaise gehra mera chehre ki tadap bekarar kar rahi.


Unhe parvaaha nahi thi shayad meri, mere dil ki dua sirf unke liye dua mang rahi thi. Dur thi unse aaj jane kyo vo duri kareeb la rahi thi. Yeh baaton ki nami kuch bhi byan na karke baut kuch byan karti ja rahi thi. Labo pe muskurahat thi sirf unke naam ki lekin jane anjane dhadkano ka tarana bhar rahi thi.


Kyo pyaar mein dard milta hai? Kyo yeh dard har bar rota hai? Kyo mujhe sata raha hai yeh pyaar?


Shayad aaj dil khali ho gaya hai un aarmano se jise bhare the chand sapno se. Bikhar gaya hai har ek sapna aaj har ek aarmaano ke sath. Ab dard nahi hai is dil mein kynki ab un mein koi jagaha nahi hai kisi jazbaat ki, koi aasha nahi hai paankh laga kar udhane ki.


Aaj akeli hoon lekin duniya ko apni muthi mein kar loon har ek baar. Aaj kaami hai kisi ke pyaar ki jise mein chod kar baithi hoon us intezar ke sath.

Tuesday, April 5, 2011

Sach Kahu

Sach kahu tumeh yaad mein karti hoon tumse jayada....


Sach kahu nahi reh sakti hoon tumse jayada....


Sach kahu tumhi ho mere dil mein, is dhadkan  mein....


Sach kahu yeh kaisi uljhan hai,


Ki har pal dhoobi hoon tumhari yaadon mein....


Sach kahu is duniya mein mere jitna pyaar na milega,


Jise tum sajao apni aankho mein....


Sach kahu tum dur bhi ho mujhse,


Par pyaar bhi hai gehra is dil se....


Sach kahu mujhe pyaar ho gaya hai us pal se,


Jis pal na reh saku tumhare bina...


Sach kahu yeh dil hai tumhare bina adhura.... 


Sach kahuuuuuuu......

Monday, April 4, 2011

Ek Pal

Aaj maan kiya jee loon sari bandishe tod kar har pal....

Jo na kiya pehle kabhi vo kar du ek pal....

Nahi sochu aaj kisi ki na samjhu aaj kisi ko har pal....

Jo dil ne kar liya vo chu loon ek pal....

Aaj ho loon us nashe mein jis nashe se bhagi hu har pal....

Aaj pee loon do bhund kabhi aansu ne chua tha ek pal....

Aaj apni khushi mein jhumu jaha jhumi thi kisi ki khushi mein har pal....

Aaj pyaar karu apne se jo ban gaya ek pal....


Aaj Zindagi Ne Berang Kar Diya Ho Mujhe Aise....

Aaj zindagi ne berang kar diya ho mujhe aise....

Sath hai mera saaya fir bi kuch kehta nahi mujhe aise....

Lafz tutte se hai tanhaiya gum hai mujhe aise....

Roti hai dil kholkar bechaniya basi ho mujhe aise....

Aaj to daman bhi daag daag hua fir bhi kuch kehta nahi mujhe aise....

Hasti miti ki kuch samjh na paye mujhe aise....

Aaj kho jau in lehro ki gehraiyo mein mujhe aise....

Pal mein jeene ki tamnna miti ho mujhe aise....

Soch na pau mein kya karu is dard ke bahar mein mujhe aise....

Aaj zindagi ne berang kar diya ho mujhe aise....

Saturday, April 2, 2011

Aaj Fir Tumhari Yaad Aai

Aaj fir tumhari yaad aai....


Khwabo se bankar ek mulaqat aai....


Roshan the aaj itne sitare, 


jane kyo yeh aankhe bhar aai....


Ab chup hai tumeh dekh kar,


Barso bhari aankhi bhi muskura aai....


Labho mein ek naam tumhara, 


Jaane dil mein chupi tamanaye bhar aai....


Kyo na karu tumse shikayate,


Laut kar ek umeed mere pass aai....


Dard bhi gehra hai magar,


tamnaye rang bhar aai....


Ab to dur na jane du,


Dil ki ek pyaas umaad aai....


Khwab bhi sile sile se hai,


Koi door tumhe kheech la..ai....


Aaj fir tumhari yaad aai....

Tuesday, March 15, 2011

SAI TERE NAAM KI

Maine jot jalai sai tere naam ki.... 

Maine kheer banai sai tere naam ki....

Maine puja ki sai tere naam ki....

Maine khushiya baati sai tere naam ki....

Maine dukh bi apanaya sai tere naam ki.... 

Maine dilse tera mandir sajaya sai tere naam ki.... 

Maine roop nikhara sai tere naam ki....

Maine jagat mein naam phelaya sai tere naam ki....

Maine tujhe apne mein paya sai tere naam ki....


Maine maan mein sajaya sai tere naam ki.... 


Maine phoolon mein nahalaya sai tere naam ki...


Maine har roop mein paya sai tere naam ki....


Maine dilse bulaya sai tere naam ki....  

Sai tere naam ki sai tere naam kiiii....
 
 

Monday, March 7, 2011

KUCH LAMHE SUBHA KE


 

Kuch lamhe subha ke humeh aise bhi lagte hai....
Kuch saaye se lipte hue, kuch begane bhi lagte hai....
Kuch khwab apne se, kuch dundle bhi lagte hai....
Kuch  phoolo se roshan, kuch mehake bhi lagte hai....
Kuch zindagi badal gayi, kuch hum bhi aise lagte hai...
Kuch pyaar mein doobe the, kuch apno se lagte hai....
Kuch boondo mein chale the, kuch aankho ke aansu lagte hai....
Kuch yaadein mujh mein bhi, kuch tujh mein bhi lagte hai....
Kuch to le gayi subha, yeh teri meri mulaqate bhi lagte hai.... 

Friday, February 4, 2011

ROOP KHILA


Subha dekhi aisi jaise koi roop khila....

Aaj jaise chandani mein koi phool khila....

Fir bhi kyo pyaar jaise aaj hua....

Tere vaade jhoothe magar....

Meri ek pal mein muskaan bana.... 

Phoolon se mehki fiza....

Kyo na jane tera pyaar bicha....

Aaj bi lamha mera didaar bana....

Khoti hai muskaan kahi bhi....

Aaj barso baad pata chala....



REH GAYI

Duaye se jaal rahi thi kahi....

Meri loh bhi pyasi reh gayi....

Tutte lamho ki parchai ban kar....

Un lamho ki gunjaish ban gayi.... 

Aaj bhi tadap hai un aankho mein....

Ki chahat bhi deewani ban gayi....

Dil bhi rota tha magar....

 In hotho ko silkar reh gayi


Thursday, February 3, 2011

KABHI SHAAM HASSE

Kabhi shaam hasse.... 

Kabhi sahil hasse....

Dekhne walo ki takdeer bhi hasse....

Mujhe ghum nahi apni zindagi se....

Meri hassi bhi kisi hotho pe saze....

Aaj fir zindagi ne karvat li....

Tera ghum jane anjane meri aankho mein base...

Ab vo pal bhi a gaya....

Tu meri saaso mein aur meri ruh tere dil mein base....

Ek sahil bhi so gaya hai is hassi mein....

Aaj khamosh dhadkane in baaton mein base.... 

Wednesday, January 12, 2011

Jab Makke De Phoole Kha Rahe Se

Jab makke de phoole kha rahe se....
 Saundi saundi hawa chali....
khushboo mein vo behta sawan....
Yeh door haye kis aur chali.... 
Hoon to apne maa da aanchal yaad aaya....
 Bachpan ka sawan....
 Dhoop wich khilda patjhaad yeh mausam....
Bhula bisra hoke har dum....
Vo choti si kahani ban kar yaad aaya....
Yaaro da bachapan....
 Fir bi dil hara nahi hai....
Laut aayonga vo har pal....
Jis pal mein har gaya tha....
Ab jeena hai us pal...
Jee mein lagan lagayi us chaon di....
Us garmi ki us raata di....
Ab jaye na dur ab vo pal....
Jis mein na tu hai na vo kal.... 

Saturday, January 8, 2011

TERI AANKHE BULATI HAI

 Teri aankhe bulati hai kyo mujhko....

Zara sa ruk jaa; Zara sa tham jaa....

Rula na ab mujhko....

Tera hi ban kar rahounga sari umar....

Fir bhi na khatam ho yeh kahani....

Ki rehegi is pal ki zindagani....

Zara sa socho; Zara sa paa lo....

Umar gujar na jaye tumhari....

Haan haan haan tumhari.... 

 Tum hi ho meri; ab dur na hona mujhse....

Haan mujhse....

Haan haan haan mujhse..... 

Friday, January 7, 2011

Tumko Dekh Kar Shaam Katti Nahi Jaise

Tumko dekh kar shaam katti nahi jaise....

Roz dekhu tumeh koi bahana bana kar....

Ruh mein tum ho base aise, jaise sagar ka koi kinara ho....

Aaj a jao ek moti ban kar, tujhe sambhalu ek sippi ke jaise....

Mohobbat is kadar meri rang la rahi ho ulfat ban kar....

Tu mera mein hoon teri maine di ho kasam jaise....

Bahar mein  phoolon mein kante beeche ho dushman ban kar....

Jaane do kanto ko hum milenge fhoolon ki khushboo ke jaise....

Aaj to khuda bhi khush hai bahar ban kar....

Ab to laga loon gale tumeh fiza ke jaise....

Tumko dekh kar shaam katti nahi jaise.... 

 

Thursday, January 6, 2011

Waqt Ne Mera Hath Jo Thama....



Waqt ne mera hath jo thama....


Tumko hum bhul gaye, haan....


Tumko hum bhul gaye....


Vo pal tumhare sath bitaye....


Yaadein ban kar reh gaye, haan....


Yaadein ban kar reh gaye....


Kaise tum meri zindagi mein aaye....


Aur kis tarha se chal diye, haan....


Kis tarha se chal diye....


Tum sahil ho mein kinara....


Kaise hum bhul gaye, haan....


Kaise hum bhul gaye....


Waqt ne mera hath jo thama....


Tumko hum bhul gaye, haan....


Tumko hum bhul gaye....


The way to be happy

The way to be happy is to identify yourself, what is unique about you, that is visible to the world, not you, and that is the way the worl...