Saturday, June 11, 2011

KYO YEH ANGDAI

Dard leta hai kyo yeh angdai....

               Jism ko rooh tak bharta hai kyo yeh angdai....

               Tufan mein bhi lafz keh na sake kyo yeh angdai....

               Teri raho mein pigalne na de kyo yeh angdai.... 

               Aaj kal meri saanso mein rehne bhi de kyo yeh angdai....


               Khusbooye in hawao mein pigalne bi na de kyo yeh angdai....

                Fir bhi har saans mein khiche kyo yeh angdai.... 

                Aaj mohabbat nahi hui fir bhi kehta mujhe kyo yeh angdai....

                Raaho mein chal kar raste badal liye kyo na jane anjane kyo yeh angdai....

DARSH


Radha raas mein dhoob chuki hoon....

Shyam ka pyala pee rahi hoon....

Fir bhi mujhe aas prabhu ki....

Do naino se dekh loon kabhi bhi....

Aaj nahi to kal mil jana....

Meri aankhiya tum bhi padh jana....

Is mein naam bahara hai tumhara....

Fir bhi tutti ahhaa nahi hai....

Jeena marna sath nahi hai....

Ab kahe ka hai khabrana....

Darsh ki pyaasi  darsh dikla jana....

Friday, June 10, 2011

Tu Jitna Muskura Rahi Hai,


Tu jitna muskura rahi hai,
utna ghum kyo tujh mein hai,
aae zindagi kuch to keh bhi....

                  Yeh kaisi raah hai aayi,
chod ke chali mein aayi,
kya kaahi rutha hai khuda bhi....

                  Na ghum hai labo pe aaye,
yeh saanse kyo chalti jaye,
kya yakeen hai inhe bhi....

                  Ab na ruk jaye kadam,
fir mile na mile manzil ke vo akhari hai pal,
kyo khud kya chahe in aankho mein bhi.... 
 

Wednesday, June 1, 2011

Aaj Mere Baal Kuch Kehne Lage

Aaj mere baal seemat kar mere chehre par padhne lage....

Kyo na jane kuch isharo mein behane lage....

Khwab bhi jhoothe magar sache se lagne lage....

Kuch dur chal kar mujhse kehne lage....

Roshan hui raat is baat mein gungunne lage....

Chandni raat mein is kadar pigal kar toot jane lage....

Khoya hai khwab us khwab mein so jane lage.... 

Gujri hai ek raat us yaad mein har aansu chupane lage....

Fir nayi subha ka nazara hai kyo na ho har  raat ko jatane lage.... 

Aaj mere baal kuch kehne lage....

kyo na jane seemat kar mere chehre par padhne lage....

Tuesday, May 10, 2011

Article: ARMAAN


Pehli bar kisi ke khone ka ehsas ho raha tha. Aankhe nam thi meri jaane kyo laga rok loon use dur hone se fir bhi dil ne kaha is tufan ko guzarne de, ise apne aghosh mein baharne de. Dil ro raha hai mera aur aankhe byan kar rahi thi. Dard seene mein tha jaise gehra mera chehre ki tadap bekarar kar rahi.


Unhe parvaaha nahi thi shayad meri, mere dil ki dua sirf unke liye dua mang rahi thi. Dur thi unse aaj jane kyo vo duri kareeb la rahi thi. Yeh baaton ki nami kuch bhi byan na karke baut kuch byan karti ja rahi thi. Labo pe muskurahat thi sirf unke naam ki lekin jane anjane dhadkano ka tarana bhar rahi thi.


Kyo pyaar mein dard milta hai? Kyo yeh dard har bar rota hai? Kyo mujhe sata raha hai yeh pyaar?


Shayad aaj dil khali ho gaya hai un aarmano se jise bhare the chand sapno se. Bikhar gaya hai har ek sapna aaj har ek aarmaano ke sath. Ab dard nahi hai is dil mein kynki ab un mein koi jagaha nahi hai kisi jazbaat ki, koi aasha nahi hai paankh laga kar udhane ki.


Aaj akeli hoon lekin duniya ko apni muthi mein kar loon har ek baar. Aaj kaami hai kisi ke pyaar ki jise mein chod kar baithi hoon us intezar ke sath.

Tuesday, April 5, 2011

Sach Kahu

Sach kahu tumeh yaad mein karti hoon tumse jayada....


Sach kahu nahi reh sakti hoon tumse jayada....


Sach kahu tumhi ho mere dil mein, is dhadkan  mein....


Sach kahu yeh kaisi uljhan hai,


Ki har pal dhoobi hoon tumhari yaadon mein....


Sach kahu is duniya mein mere jitna pyaar na milega,


Jise tum sajao apni aankho mein....


Sach kahu tum dur bhi ho mujhse,


Par pyaar bhi hai gehra is dil se....


Sach kahu mujhe pyaar ho gaya hai us pal se,


Jis pal na reh saku tumhare bina...


Sach kahu yeh dil hai tumhare bina adhura.... 


Sach kahuuuuuuu......

Monday, April 4, 2011

Ek Pal

Aaj maan kiya jee loon sari bandishe tod kar har pal....

Jo na kiya pehle kabhi vo kar du ek pal....

Nahi sochu aaj kisi ki na samjhu aaj kisi ko har pal....

Jo dil ne kar liya vo chu loon ek pal....

Aaj ho loon us nashe mein jis nashe se bhagi hu har pal....

Aaj pee loon do bhund kabhi aansu ne chua tha ek pal....

Aaj apni khushi mein jhumu jaha jhumi thi kisi ki khushi mein har pal....

Aaj pyaar karu apne se jo ban gaya ek pal....


The way to be happy

The way to be happy is to identify yourself, what is unique about you, that is visible to the world, not you, and that is the way the worl...