Sunday, October 2, 2011

LEHAR CHALI


Lehar chali kai khwaishiye leke....


Maan ko chum loon barish ke jaise....


Badalta mausam sharma raha hai....


Mere paon mein ek sapna gaa raha hai....


Chah nahi hai tere pass anne ki jaise....


Fir bhi yeh dil bas tere liye gunguna raha hai....


Lehar chali sangam ki aur....


Mera rasta kyo nahi tere ghar ko ja raha hai....


Hawao se khoyi hai hassi kahi jaise....


Kya yeh pal bas teri hi yaad dila raha hai....



NAAM NAHI




Gautam naam nahi ek roop hai jiski hai pehchaan....

Dilse apna aur dimaag se lagta hai anjaan....

Kuch khwaish hai pane ki kahi....

Kho gayi hai kahi ek pehchaan....

Har muskaan main dard bhara hai uske....

Fir khushiyon se hai bharta apni shaan....


Har shuk mein sathi har dukh mein sathi....

Fir kyo nahi mili use uski khushiyon ki dukan....

Lamha chura jata hai pal mein deta sabko hai ek pyaari jaan....

Kehna hai use baut kuch par chupa jata hai har shabd ka samaan....

Tamnnaye bula rahi hai use kehta hai pehle hai farz fir hai mera kaam....

Khane Jaisi


Kaash zindagi bi khane jaisi kuch namkeen, 

kuch meethi, kuch tikki, kuch khatti hoti.....

Fir saanse bi khane jaisi garam hoti....

Aankhe band karke rakhti agar,

hatho jaisi mulayam roti bhi sath hoti....

Pal mein muh mein ghul jaye,

khane jaisi agar kisi ki hassi khas hoti....

Fir bhi meetha khati agar,

mirch si tikki zuban hoti....

Pal mein khane ki khushboo phel gayi,

jaise baaton ki muskaan hoti....

Dil bhi kaccha hai magar,

khane sa pakka swaad nahi....

The way to be happy

The way to be happy is to identify yourself, what is unique about you, that is visible to the world, not you, and that is the way the worl...