Tuesday, December 21, 2010

AAJ MEIN KAED HOON

Aaj mein kaed hoon is kadar ki tera lafz bhi bhool gaya hoon jaise....


Kuch parchaiyo mein aise khoya hoon aaj jaise....


Is taraha kaed kar ke tujhe kya milega jaise....


Teri ruh bhi tujhe degi ek din dhokha jaise....


Chaand saanse baki hai mujhe jaise....


Yaad kar loon us chaman ko jaise.... 


Khushboo si fheli ho mere yaadon ke vatan mein jaise....


Aaj mein kaed hoon is kadar ki jaise.... 

Saturday, December 11, 2010

JHUKTI SHAAM

                                    
Jhukti shaam ki bhujti loh bi dokha kha gayi...

Mere mehboob ke kadmo mein aaj bi vo sharma si gayi...

Jinke aane se ruki meri duniya...

Aaj us duniya se jaane kyo gabhra si gai...

Jhukti shaam ki bhujti loh bi dokha kha gai...

Khaak si mil gaya yeh jahan...

Kisi ki mohobbat aaj bi rango se mehak si gayi...

Dard bi thehra hai aake sine mein kahi...

Pal mein mujhko pal mein tujhko...

Tere jism ki ruh mere roop mein shama si gayi...

Jhukti shaam ki bhujti loh bi dokha kha gayi...

Kyo na jaane tujhe dekh kar tadpi hoon aise....

Teri inayat mein badle yeh duniya...

Dard bi gehra magar teri khushiyo se baadkar reh si gayi...

Jhukti shaam ki bhujti loh bi dokha kha gayi...

Sunday, November 28, 2010

KAHA


Tumko ishq hai uski tumeh kabar kaha…

Ruh se batakta dil mera us mein ab chuban kaha…

Khwab bi lambe magar aaj uska daar kaha…

Dard bi rone laga hai is pal ka ghum kaha…

Tutte bikhare sheesho sa kho gaya chehra kaha…

Mil gayi mohabbat kahi tera noor in aankho mein kaha...

Jalte angare se kahi roop mom sa behta kaha…

Khushi bi nagmaha ban gaya ghum ka chehra kaha…

Friday, November 26, 2010

AAJKAL


Ek khushi ek chahat bhi rulati hai jeevan ke mod par…

Khamosh palke bhi chup reh jati hai us nazar ko dekh kar…

Kehte hai dard mein jeene ki aadat thi mujhe…

Aaj us dard se darte hai aajkal…

Pehchan chup gayi jaise zindagi ruth gayi aajkal…

Kyo sikhaya hai insaan ko pyaar karna…

Ab to har rishte se nafarat ho gayi hai aajkal…

Bikhre aashq bhi rote nahi hai kyo pehli bana jism aajkal…

Tadpan mein gum naam hai mohobbat fir
dhunta hai dil aajkal…

Ab zindagi ne mujhe chuna hai us pal ke liye jiska hissa kho kar reh gaya aajkal…

Thursday, November 25, 2010

AGAR KOI POOCHE


Agar koi pooche pyaar kya hai…

Muskura ke kaha mere dil ne…

Yehi jannat mein isi pal mein…

Mere dil mein uski ruh mein…

Fir poocha vo pal kaha hai…

Mere dil ne kaha is pal ka nahi…

Kahi janmo ka hizaab yaha hai …

Aur bus yehi mera pyaar hai….

Wednesday, November 24, 2010

MERA DARD MERE PASS HAI


Dard ki gehrai koi janta nahi…

Ruh ko meri pehchanta nahi koi…

Fir kyo rusva hoti hai zameen...

Har kisi ki khushi khoi hai kahi…

Yeh dard kaisa hai re…

Batla do tum zara…

Ankhe chup hai magar ek moti gira…

Dhua sa saaya hai mera…

Kyo hoti hai mulakaat apne se kahi…

Dikh raha hai andhera charo taraf…

Kafan hai bhara is ruh mein kahi…

Badnaam hai kyo is zameer ki khushi…

Yeh kaisa dard hai…

Yeh kaisi pyaas hai…

Chupa yeh kaisa ittifaq hai…

Mera dard mere pass hai…

Tuesday, November 23, 2010

MILA

           
Har pal har lamha bas intezar hai mila…

Dund si cha rahi hai sapno sa lag raha hai aetbaar mila…

Kuch nagmein hai us bachpan ke jo aaj na jane pehli bar mila…

Khwab bi tut kar bikhare aise jane kab koi sapna mila…

Yaadein bas kar reh gai jab pyaar tujhsa mila…

Zindagi haqiqat ban gai jab vo nagmaha bar bar mila…

Safed godh ki chadar sa lipta us pal ka ehsas mila…

Kali raat ki chandani mein khoya chand ek osh ki bundo se mila…

Aaj lag raha hai sawan bina barse mere sapno se a kar mila….
                                                                                                     

Saturday, November 13, 2010

TALAASH


Tapti surmai shaam thi, us shaam ka har ek pal pyaara sa tha, dhoop thi na chaon thi, har ek pal ka nazara aam tha…….

Raeth si behti zindgi mujhse bi kuch kehti rahi, a gale lag ja tu, yeh aankhe aansuo se behti rahi……..

To na jane kis mod pe aankhe meri rukh si gai, kho gaya bachpan mera, dundti yaadein bas reh gai………..

Yu chupa le mujh ko to tu jaise chand ne chupai thi chandani, tapti aankhe dund rhi us pyaase manjar ko dekhne……………..

Surmai si lag rhi hai hotho ki khushi ab mujhe, dund ne nikli vo pyaasa bachpan jis ki talaash kar rahi………..

Kho gai hoon is kadar bhul ke javani meri, hoth kehte hai magar aankhe sunti nhi……..

Bhool gai hoon bachpan mera……. Ab dund ne ki talaash kar rahi………

Thursday, November 11, 2010

JWALAMUKHI


Suraj ki agni ke jaisa hota hai jwalamukhi_

roop ki kirno jaise dehkta hai jwalamukhi_

khushboo se mehkti ek aag hai jwalamukhi_

har insan ke roop ka aang hai jwalamukhi_

nirmal baaton me bi hota hai jwalamukhi_

yeh ek naam nhi dehkhti aag hai jwalamukhi_

jo sabkuch mita kar behta gyan hai jwalamukhi_

mujhe bi hai tujhe me bi hai jwalamukhi_

darti ki shaam hai jwalamukhi_

Shabdo ki leh me behta pyaar hai jwalamukhi_

aankho ke ashqko ka intezar hai jwalamukhi_

rom rom pigalta mom hai jwalamukhi_

duniya me reh kar tadpta hai jwalamukhi_

kuch palo ke saanse hai jwalamukhi_

sote hue sapno ka vishwas hai jwalamukhi_

toote motiyo se bekharta ehsas hai jwalmukhi_

suro ke bazar me hai jwalamukhi_

guzarte waqt ka khumar hai jwalamukhi_

taro se jhilmilati raat hai jwalamukhi_

bache ki khilkari me hai jwalamukhi_

hotho ki masumiyat me hai jwalamukhi_

garajte sawan ki barsat hai jwalamukhi_

bhagte daudti fizao me hai jwalamukhi_

dosti ke bandhan me hai jwalamukhi_

chahto ke pagalpan me hai jwalamukhi_

chote bade lamho ka intezar hai jwalamukhh_

har modh har gali ki yaad me hai jwalamukhi_

jannat ke jahan me hai jwalamukhi_

jis bi roop me dekho samjho bas ek naam hai jwalamukhi_

Wednesday, November 10, 2010

KILKARI


Anjan thi is shabd se kya hoti hai kilkari……

Ek masum bachpan sa or kho gai jaavani……

Nanne kadmo sa ek baagta bachan jaa rha h kis aur……

Gunjte swaro se nikali ek kilkari…….

Maa ki mamta umaadi us par, kho kar sari kahani…..

Sneh me lipte bache ko lagti hai uski maa badi hi pyaari…….

Bacha jitna masum hai utna shetan, jab bi chahta hai maa ka pyaar…

Tab gunje ghar ke hare k kone me uski kilkari……

Kilkari shabd nhi aasan, sabko ek hai karta………

Aur apni masumiyat diklata hai yeh……

Gumnaam zindagi ko bi ujala de jaata hai yeh…..

Apno ko aur kareeb laata hai yeh…….

Suro ka har ek roop hai kilkari……….

Pyaar mai dhoobe shabdo mai anmol hai kilkari…..

Masum bachpan ke har roop, har saas mai hai kilkari……

Aatma mai dhobi har kiran ka naam hai kilkari…

MERI ZINDAGI KA SACH


Meri zindagi ka sach aaj batati hu mai…….

Mere dil ka dard aaj sunati hu mai…….

Laakho logo ka tha aana jana………

Kis kis rishte ka sach batau mai…….

Laad pyaar se baadi hui par…….

Zindagi ke har raag ko jeete hue…..

Jeeti hai yeh laadki dusro ke liye……

Kabi ki nhi apni khushi ki parva isne……

Roti hai magar par kisi ne iske aansu dekh nhi……..

Jisne dekha to bas iske chehre ki khushi…….

Laaga sabko jaise kabhi roe tak nhi……

Sabko lagti hai yeh pyaari…..

Sabse jaldi ghul mil jaati…..

Mamta bhari hai iske har ek roop me……

Jaise koi pavitra aatma h samai……

Kuch logo ne majak banaya…….

Aur kuch sneh dikhaya…..

Jaan na saka koi iski maan ki baat…….

Sab mai dunde saacha mitra…..

Par har jaga dhokha hi khaya……..

Dur kar deti hai sabko apne se jisne bi isko dukh pahuchaya……

Do sabd pyaar se bole jisse usne uska galat aarth lagaya…..

Taalash krti hai sabme…..

koi saach mitra mil jaye, sare dukh bhul kar…..

Ek saachi khushi mil jaye…….

Par kaisi kismet hai iski aansu khud piye………

Aur sabko khushi de jaye…….

Koi nhi jisne ise samjha…….

Agar samjha to bi na samaj paye….

Bachpan kho kar baadi ho gai……

Fir bi bacho jaisi hi paaya…….

MY FIRST ARTICLE "Why???"


A girl life is full of thinking, waiting, and feeling lonely after having everything and everyone in her life why?

                                                           She smiled her self thinking a drop of water is pure but we can’t reach its purity. Exactly like hope is very pure, a light which always came back with new passion of life and with new thinking as pure as a water drop.
                                                           She thinks more and more and look at the light & asked her self why sun always set & rise, what’s the motive behind it, her heart answer her, what u thinking is time? I know why it happens but I don’t know why? After sun rise there is light & after sunset its dark why it’s happen? Again I don’t know, is it necessary?
                                                            Her eyes was wet with full of heart is this hope or is this regard. Why I m lonely in the hope of love? Am I so dump or so down? Why I am crying in the hope of time? It is the part of life or it is life. Why I always enjoy to staring at light to stand at height? Why I had forgotten my goal? Why I regret the life? I can’t stand in the row of people, why? My life wants more and more but I don’t know why? As I know hope is as soft as cotton and our motive as hard as shell, but we have to live both.
                                                           
                                                                So I have decided to never give up hope as my thinking is good and pure as a water drop.

Tuesday, November 9, 2010

GEHRAI

Ek samundar gehre sa, pani mai nahaya chehra sa……….
Palke band karo to sama jaye, palke khole to aansu ban jaye……...
Yeh gehrai thi us pyaar ki jise kisi ne na jaana tha……
Tham si gai thi zindagi, bas yehi iska afshana tha…….
Soti nhi thi raat bhar kisi ke intezar mai, dhundti thi aankho ki galiya, ek lamha bekrar tha.......
Jitni gehri saanse thi uski, utna gehra uska pyaar tha ............
EK lamha chura lu aise, is gehrai ka intezar tha.............

SAAYA

Zindagi ek saaya h…….
Mudh ke dekhe zara to dikhai na de…….
Fir bi sath yeh kyo chalta hai………
Rukte hai kadam yeh bi rukta hai kyo…….
Tanhai me yeh simatta hai kyo…….
Mai bi tanha hu yeh bi tanha hai…….
Aisa lagta hai kyo mujhse kuch keh rha……
Me na jaanu ise yeh na jaane mujhe…….
Fir bi kaisa yeh rishta juda…..
Pal mein bikhare khadam.......
Ek pehli  mein kyo.......
Us chand ki chandani jaise ghira.......
Khamosh hai yeh kyo........
Fir bi sath hai iski wafaa.......
Aaj jane kyo fir ek pal.......
Mere saaye se mila........

Sunday, November 7, 2010

SURMAI AANKHO MAIN

Surmai aankhon mein dekha hai, surmai sa tere roop……..

Shaam hai magar, teri aankhon ka noor hai bahut khoob………

Dil mai zazbaat hai bhare, teri roshani se bhara………

Dhadkane saath hai magar, tera ehsas hai saja………

Ruh mein bas jaye aisi hai teri wafaa…….

Jabse paya hai tujhko, meri aankho mein tera khawab saja……

Kyo khamosh ho tum, fir bi kehti ho bahut……..

Teri nazaro mein sharam hai, yeh mujhko pasand hai……..

Tute khawab se saji teri duniya, yeh tera bahram hai…….

Chuke dekh zindagi ek baar, kitni pyaari hai…..

Tute patto si seemti, yeh teri kahani ……

Jheel se behte tere ashqko ki zubani hai……..

Yeh aankhe kitni pyaari hai…….

Friday, November 5, 2010

EK AKELI PEHLI

Dil mein kahi shor basa hua tha...
Aadh boone rishto mein fasa hua tha...
Tej lo mein jal raha tha...
Tukado mein mujhe cheer raha tha....
Bahad agosh mein juka hua tha...
Chethado ki dhun mein beh raha tha...
Kyo is pal se saata hua tha...
Yeh bi kamal ke phool ki taraha tha...
Khichad mein panap raha tha...
Ek pagal maan mein baahtak raha tha...
Jise na soch kar bi soch raha tha...

YAHI KAHI

Ek khushboo fehli hai yahi...
Jaagmagate deep hai yahi...
Fheli kyo hai meri ruh mein kahi....
Jaha dekhu yeh nagmein sabhi...
Raho mein chalte hue...
Hum nikal gaye kahi...
Us roshani ki talash mein...
Mere ruh ke jazbaat mein...
Aaj bas mein nahi is pal ke intezar mein...
Kyo roshan hai kahi kisi alfaaz mein...

Wednesday, November 3, 2010

RADHE KRISHNA

MY LOVELY CREATION OF POETRY

KHO JAANE DO

Mujhe aansuo mein bheegne do....
Mujhe apne ruh ko chune do....
Meri khushi mujhe bhula rahi....
Har ashq ko aaj behne do....
Yeh tadap aaj pane do....
Is pal ko aaj kho jane do....
Har alfaz ko aaj beh jane do....
Mujhe sukun mil jane do....
Rom rom ko jal jane do....
kisi ki yaad ko pass aane do....
Mere kareeb se guzar jane do....
Yuh inteha hai meri....
Aaj mujhe kho jane do....
Band muthi se fisalti meri zindagi ko....
aaj use khuda me samane do....

ZARRA ZARRA

Toot gayi mein patto se zarra zarra…….

Zindagi ke khwab bi toot gaye zarra zarra…….

Rone bi nahi deti yeh duniya zarra zarra…….

Fir bi roti rahu mein kyo zarra zarra…….

Bikhare ashqko mein bi beh gai hai zindagi zarra zarra…….

Chot lagti hai kahi aur dard hota hai kahi zarra zarra…….

Thaam lu tujhe apni baho mein ek pal ke liye zarra zarra…….

Ruh se nazar nhi milti ab meri zarra zarra…….

Katal karke chal padhi zindagi aur mujhse puchti zarra zarra…….

Kyo hua aisa kya kiya maine zarra zarra…….

Bas banke reh gai ek sawal zarra zarra…….

Tuesday, November 2, 2010

MEIN KHWAB HOON

Mein khwab hoon mujhe dekhlo……….

Tum ek pal nighao se chu lo mujhe……..

Mein vo raaz hoon jo teri aankho mein basta hoon…….

Khushnuma khwab hoon jo teri raaton mein saajta hoon……..

Mein vo baat hoon jo teri baaton se keh du…….

Tune na jaana mujhe na hi pehchana mein kaun hoon………

Khulti har ruh mein baitha hoon ek kitabh ki taraha…….

Tere har saaz mein rang bhar ke dekhu zara…….

Moti se ashqk hai tere, khushboo ki taraha behta chalu……..

Ruh mein bas ja tu is taraha, laut kar mujhe ko paa le…………

Tere saanso ki yehi hai khiza....... yehi hai ab mujh mein…………

LAMHA LAMHA SAFAR

Lamha lamha katta safar jane bi kyo mujhse kuch kehta h……

Faasla fir bi magar jaane mujhse kuch kehta h……….

Yeh duri kaisi hai, manzil ko dunde safar……….

Lafzo mai ghume hai aur is shaam ka asar…..

Kaisi hawa chal rhi hai yahi, yaado mai jaise baas raha hai koi........

Lehrata badal bekharti yeh shaam, manzil meri kahi dur chali………..

Maan mera aise gungunata hai kyo…….

Jaise kisi ki yaad a rahi……….

Pal pal mai sochu, pal pal mai jaanu……..

Khushboo si fehali yahi kahi teri, tu na mere paas hai…….

Dhadkane meri tere sath hai……tere saath hai…..

Gunje yeh dharti aashma mere saath hai…. Mere saath hai…. Mere saath hai………..

Wednesday, October 27, 2010

FEHALI

Patto se seemti….patto se fehali….yeh hawaye teri…….

Roshani se bhujte chiraag ki loh se gehri…..

Sagar ka moti ya sagar ki seepi….un nanne kadmo si mehli……….

Surat bi aisi jaise roshani se fehali…….

Damakti shaam ki….damakti se pyaasi….

Tu ruh us aashma ki….jis bin tu hai adhuri…….

Bheege ashqko jaisi….jaisi khushboo teri……

Is zameen se aashma tak….bas tu hai fehali…..

The way to be happy

The way to be happy is to identify yourself, what is unique about you, that is visible to the world, not you, and that is the way the worl...